settings icon
share icon
Praśn

Bhrānt śikṣā dene vāle panth kī paribhāṣā kyā hai?

Uttar


Jab log śabd bhrānt śikṣā dene vāle panth yā mat ko sunate hain to ve aksar aise samūh ke hone ko sochte hain jo ki Saitān kī arādhanā, paśuon ke balidāno ko kartā hai, yā bure, vichitr aur mūrtipūjak anuṣṭhāno men hissā letā hai. Parntu phir bhī, vāstaviktā men, ek bhrānt śikṣā dene vālā panth śāyad hī aisī chījo ko karne men sammilit hotā ho. Sacchāī to yah hai, ki bhrānt śikṣā dene vālā panth, apane vyāapk arth men, ek viśeṣ anuṣṭhāno aur rīti rivājo ke sāth sādhārṇ dhārmik paddhati vālā ek śabd hai.

Sāmāny taur par, hāalāki, bhrānt śikṣā dene vāle panth kī adhik nikaṭatā se paribhāṣā, aur śabd ek aise apramāṇik saṃpradāy kī or sanket kartā hai, jiske sadasya dharm ke mūl dharm siddhānto kī śikṣā ko vikṛt kar dete hain. Masīhī sandarbh men, bhrānt śikṣā vāle panth kī paribhāṣā, viśeṣ rūp se, ek aise "dhārmik samūh kī hai jo ki Bāibal ādhārit saty kī ek yā do maulik bāton ko asvīkār kar dete hain." Bhrānt śikṣā dene vālā ek aisā samūh hotā hai jo aise dharm siddhānto kī śikṣā detā hai, ki yadi un par viśvās kiyā jāe, to yah ek vyakti ko sadaiv ke lie uddhār na pane kā kāraṇ banatā hai. Ek bhrānt śikṣā dene vālā panth ek dharm kā hissā hone kā dāvā kartā hai, tis par bhī yah us dharm ke āvaśyak saty(on) ko asvīkār kar detā hai. Islie, ek Masīhī śikṣā par ādhārit bhrānt śikṣā dene vālā panth Masīhat ke maulik satyon kī ek yā do śikṣāon ko asvīkār kar detā hai.

Jabki vah phir bhī Masīhī hone kā dāvā kartā hai. Masīhī śikṣā par ādhārit bhrānt śikṣā dene vāle panthon kī do mukhy sāmāny śikṣāen yah hain ki Yīśu Parmeśvar nahīn thā aur uddhār keval viśvās karne se nahīn milatā hai. Masīh ke īśvartv men inkār kā pariṇām se yah vichārdhār nikaltī hai ki Yīśu kī mṛtyu hamāre pāpon kī sajā ke jurmāne ko adā karne ke lie paryāpt nahīn thī. Keval viśvās ke dvārā uddhār kā inkār ke pariṇām se yah śikṣā nikaltī hai ki uddhār ko keval kāmo ke dvārā prāpt kiyā jā sakatā hai. Preriton ne Kalīsiyā ke ārambhik sālon men bhrānt śikṣā dene vāle panthon ke sāth nipaṭārā kiyā thā: udāharṇ ke lie, Yūhannā ne 1 Yūhannā 4:1-3 men Gnosṭīsijm arthāt Nāstik Gyanvād kī śikṣā ko sambodhit kiyā hai. Bhaktīmay dharm siddhānto ke lie Yūhannā ke dvārā sacchāī kī parīkṣā ke lie tarkvākya "Yīśu Masīh śarīr me hokar āyā hai" (vachan 2) - Gnosṭīsijma arthāt Nāstik Gyanvād kī jhūṭhī śikṣā ke sāth sīdhā virodhābhās men hai (2 Yūhannā 1:7 se tulanā karen).

Aaj ke samay bhrānt śikṣā dene vāle panthon ke sabse prasiddh jāne-pahachāne do udāharṇ Yahovā Viṭanesas yā Yahovā ke Gavāh aur Mormons hain. Dono samūh Masīhī hone ke dāvā karte hain, parntu phir bhī dono Masīh kī īśvartv aur keval viśvās ke dvārā uddhār hone ko asvīkār karte hain. Yahovā Viṭanesas aur Mormons bahut sī aisī bāton men viśvās karte hain jo ki jo kuch Bāibal śikṣā detī hai uske sāth sahmat yā uske sadṛis hain. Parntu phir bhī, sacchāī to yah hai ki ve Masīh ke īśvartv ko asvīkār kar dete hain aur kāmo ke dvārā mukti kā prachār karte hain jo unhen bhrānt śikṣā vāle panthon hone kī yogytā pradān karte hain. Kaī Yahovā Viṭanesas aur Mormons, aur bahut se any bhrānt śikṣā dene vāle samūh ke log aise naitik log hain jo ki sacchāī se yah viśvās karte hain ki ve sacchāī ko thāme hue hain. Masīhī hone ke nāte, hamārī āśā aur prārthanā yah honī chāhie ki bahut se log jo ki bhrānt śikṣā dene vāle panthon men sammilit hain ve jhūṭhon ko dekha saken aur Yīśu Masīh men hī keval viśvās ke dvārā mukti kī sacchāī tak pahunch saken.

English



Hindī ya Roman-Nagari ke mukhya pṛṣṭha par vāpsa jāie

Bhrānt śikṣā dene vāle panth kī paribhāṣā kyā hai?
Facebook icon Twitter icon Pinterest icon Email icon
© Copyright Got Questions Ministries