settings icon
share icon
Praśn

Kuvārī se janm itanā mahatvpūrṇ kyon hai?

Uttar


Kuvārī se janm kā dharm siddhānt ek bahut hī mahatvpūrṇ siddhānt hai (Yaśāyāha 7:14; Mattī 1:23; Lūkā 1:27, 34). Sarvapratham āie ham yah dekhen ki kaise Pavitr Sāstr is ghaṭanā kā varṇan kartā hai. Mariyam ke praśn ke uttar men, "Yah kaise hogā" (Lūkā 1:34), Svargdūt Jibrāel kahtā hai ki, "Pavitr Atmā tum par utaregā, aur parmapradhān kī sāmarthy tujh par chāyā karegī" (Lūkā 1:35). Svargdūt Yūsuph ko Mariyam se vivāh karne ke lie na ḍarne ke lie in śabdo ke sāth utsāhit kartā hai: "Kyonki jo uske garbh men hai, vah Pavitr Atmā kī or se hai" (Mattī 1:20). Mattī kahtā hai ki kuvārī "Pavitr Atmā kī or se garbhvatī pāī gaī" (Mattī 1:18). Galātiyon 4:4 bhī kuvārī se janm kī śikṣā detā hai: "Parmeśvar ne apane putr ko bhejā jo strī se janmā."

In sandarbho se, yah niśchit rūp se spaṣṭ hai ki Yīśu kā janm Pavitr Atmā ke dvārā Mariyam ke śarīr ke bhītar kām karne ke pariṇāmsvarūp thā. Amūrt (Atmā) aur mūrt (Mariyam kā garbh) dono hī sammilit the. Mariyam, ismen koī sandeh nahīn hai ki, svayaṃ garbhdhāna nahīn kar sakatī thī, aur is arth men vah mātr ek "pātr" thī. Keval Parmeśvar hī dehdhārṇ arthāt manuṣyāvatār ke āścharykarm ko kar sakatā hai.

Parntu phir bhī, Mariyam aur Yīśu ke bīch śārīrik sambandh se inakār yah sanket detā hai ki Yīśu sacha men manuṣy nahīn thā. Pavitr Sāstr śikṣā detā hai ki Yīśu pūrī tarah se manuṣy, hamārī hī tarah ke ek bhautik śarīr ke sāth thā. Thīk usī samay, Yīśu pūrī tarah se Parmeśvar, ek anant, niṣpāap svabhāv ke sāth thā (Yūhannā 1:14; 1 Tīmuthiyus 3:16; Ibrāniyon 2:14-17).

Yīśu pāap men utpann nahīn huā thā; arthāt, usmen koī pāpī svabhāv (Ibrāniyon 7:26) nahīn thā. Aisā jān paḍtā hai ki pāap kā svabhāv pīḍhaī dar pīḍhaī pitā ke dvārā sthānāntarit hotī rahatī hai (Romiyon 5:12, 17, 19). Kuvārī janm ne pāap ke svabhāv ke sanchārṇ ko palaṭ diyā aur anant Parmeśvar ko pariṇāmsvarūp ek siddh purūṣ banane diyā.

English



Hindī ya Roman-Nagari ke mukhya pṛṣṭha par vāpsa jāie

Kuvārī se janm itanā mahatvpūrṇ kyon hai?
Facebook icon Twitter icon Pinterest icon Email icon
© Copyright Got Questions Ministries