Praśn
Parmeśvar kī Prabhusttā aur manuṣy jāti kī svatantr icchā milakar uddhār ke lie kaise kāry kartī hain?
Uttar
Parmeśvar kī Prabhusttā yā Prabhutā sampann honā aur mānav jāti kī svatantr icchā aur uttardāayitv ke madhy ke sambandh ko pūrī tarah samajhnā hamāre lie asambhav hai. Keval Parmeśvar hī sacchāī jāntā hai ki yah kaise ikaṭṭhe uske uddhār kī yojanā men kāry karte hain. Sāyad is viṣy par, kisī bhī any dharm siddhānt kī tulanā men, Parmeśvar kī prakṛti aur hamāre uske sāth sambandh ko pūrī tarah se ātmasāt karne ke lie hame hamārī ayogytā ko svīkār karnā āvaśyak rūp se mahatvpūrṇ hai. Dono men se kisī bhī taraph adhik dūr jāne kā pariṇām uddhār kī bigaḍī huī samajh hai.
Pavitr Sāstr spaṣṭ kartā hai ki Parmeśvar jāntā hai ki kaun bachega (Romiyon 8:29; 1 Pataras 1:2). Iphisiyon 1:4 hame yah batātā hai ki Parmeśvar ne hame ‘‘Jagat kī Utpati se pahale hī chun liyā." Bāibal nirantar viśvāsiyon ko ‘‘chunā huā’’ (Romiyon 8:33; 11:5; Iphisiyon 1:11; Kulussiyon 3:12; 1 Thissalunīkiyon 1:4; 1 Pataras 1:2; 2:9) aur ‘‘chune hue’’ ke rūp men ullekh kartī hai ( Mattī 24:22, 31; Marakus 13:20, 27; Romiyon 11:7; 1 Tīmuthiyus 5:21, 2 Tīmuthiyus 2:10; Tītus 1:1; 1 Pataras 1:1). Yah tathy ki viśvāsiyon ko pahale se hī ṭhaharā diyā gayā hai (Romiyon 8:29-30; Iphisiyon 1:5,11), aur uddhār ke lie chunā huā hai (Romiyon 9:11; 11:28; 2 Pataras 1:10), bilkul spaṣṭ hai.
Bāibal yah bhī kahtī hai ki ham par Masīh ko uddhārkartā ke rūp men grahṇ karne kā uttardāayitv hai - hame bas yah karnā hai ki Yīśu Masīh par viśvās karen aur ham bach jāenge (Yūhannā 3:16; Romiyon 10:9-10). Parmeśvar jāntā hai ki kaun bachenge, Parmeśvar unhen chunata hai jo bachenge, aur hame bhī Masīh ko avaśy chunnā chāhie tāki ham bach jāen. Kaise ye tīno tathy milakar kāry karte hain, ko ek sīmit dimāg se samajhnā asambhav hai (Romiyon 11:33-36). Susmāchār ko pūre sanār men le jāne kā uttardāayitv hamārā hai (Mattī 28:18-20; Preriton ke kām 1:8). Hame pūrvgyan, chunāv, aur pahale se ṭhaharāe jāne vāle bhāag ko Parmeśvar par hī choḍ denā chāhie aur bas Susmāchār ko phailāne men āgyākārī rahanā hai.
English
Parmeśvar kī Prabhusttā aur manuṣy jāti kī svatantr icchā milakar uddhār ke lie kaise kāry kartī hain?