Praśn
Prabhu kī prārthanā kyā hai aur kyā hame ise karnā chāhie?
Uttar
Prabhu kī prārthanā ek aisī prārthanā hai jise Prabhu Yīśu Masīh ne Mattī 6:9-13 aur Lūkā 11:2-4 men uske chelon ko sikhāyā thā. Mattī 6:9-13 aisā kahtā hai ki, "Atah tum is rīti se prārthanā kiyā karo: 'He hamāre pitā, tū jo svarg men hain; terā nām Pavitr mānā jāe. Terā rājy āe. Terī icchā jaisī svarg men pūrī hotī hai, vaise pṛthvī par bhī ho. Hamārī din bhar kī roṭī āj hame de. Aur jis prakār ham ne apane aparādhiyon ko chhamā kiyā hai, vaise hī tū bhī hamāre aparādhon ko chhamā kar. Aur hame parīkṣā men na lā, parntu burāī se bachā; kyonki rājy aur parākram aur mahimā sadā tere hī hain, Aamīn.'" Bahut se log Prabhu kī prārthanā ko galat samajh gae hain ki yah ek aisī prārthanā hai jise saṃbhavt hame śabd-dar-śabd doharānā chāhie. Kuch log Prabhu kī prārthanā ko ek judāī sūtr ke rūp men upayog karte hain, māno ki iske śabdo men svayaṃ kuch viśiṣṭh sāmarthy yā Parmeśvar ke sāth koī prabhāv hai.
Bāibal iske viparīt sikhātī hai. Parmeśvar hamāre śabdo kī tulanā men prārthanā karte samay hamāre hṛdayo men jyādā rūchi rakhatā hai. "Parntu jab tū prārthanā kare, to apanī koṭharī men jā; aur dvār band kar ke apane pitā se jo gupt men hai prārthanā kar. Tab terā pitā jo gupt men dekhatā hai, tujhe pratiphal degā. Prārthanā karte samay anyjātiyon kī samān bak-bak na karo, kyonki ve samajhte hain ki unake bahut bolane se unakī sunī jāegī" (Mattī 6:6-7). Prārthanā men, hame hamāre hṛdayo ko Parmeśvar ke āge uṇḍel denā hai (Philippiyon 4:6-7), na ki keval Parmeśvar ke sāmane śabdo ko doharānā hai.
Prabhu kī pārthanā ek udāharṇ, ek namūne ke rūp men nahīn samajhī jānī chāhie, ki kaise prārthanā kī jātī hai. Yah hame un "tatvo" ko detī hai jinhen prārthanā men jānana chāhie. Yahān par iske vāky yah śikṣā dete hain. "He hamāre pitā, tū jo svarg men hai" hame śikṣā detā hai ki hame kis se – arthāt pitā se prārthanā karnī chāhie. "Terā nām Pavitr mānā jāe" hame Parmeśvar kī arādhanā, aur vo jo kuch hai uskī stuti karne ke bāre men batātā hai. Vāky "terā rājy āe, terī icchā jaisī svarg men pūrī hotī hai, vaise pṛthvī par bhī ho" hame yah smaraṇ dilātā hai ki hame Parmeśvar kī yojanā ko, na ki hamārī yojanā ko hamāre jīvano aur is sanār men pūrā hone ke lie prārthanā karnī chāhie. Hame Parmeśvar kī icchā ko, na ki hamārī icchāo ko pūrā hone ke lie prārthanā karnī chāhie. Hame utsāhit kiyā gayā hai ki hame Parmeśvar se un vastuon kī māng karnī chāhie jinakī hame āvaśyaktā hotī hai jaise "Hamārī din bhar kī roṭī āj hame de." "Jis prakār hamne apane aparādhiyon ko chhamā kiyā hai, vaise hī tū bhī hamāre aparādhon ko chhamā kar de" hame smaraṇ dilātā hai ki hame Parmeśvar ke sāmane apane pāpon ko angīkār karnā aur unase muḍanā chāhie, aur dūsaro ko bhī chhamā kar denā chāhie jaise Parmeśvar ne hame chhamā kiyā hai. Prabhu kī prārthanā kā sār yah hai ki, "Aur hame parīkṣā men na lā, parntu burāī se bachā" sahāyatā ke lie aisī pukār hai jismen pāap ke ūpar vijay prāpt kī jātī hai aur burāī ke ākramaṇo se surakṣā ke lie ek vinatī hai.
Islie, ek phir se, Prabhu kī prārthanā ek aisī prārthanā nahīn hai jise hame yād kar lenā chāhie aur ise phir Parmeśvar ke sāmane doharānā chāhie. Yah to keval ek udāharṇ hai ki hame kaise prārthanā karnā chāhie. Kyā Prabhu kī prārthanā ko smaraṇ karne men kuch galatī hai? bilkul bhī nahīn! kyā Parmeśvar ko Prabhu kī prārthanā sunāne men kuch bhī galatī hai? Nahīn yadi āapkā hiṛday ismen hai aur āap jin śabdo ko bol rahe hain unhen sacchāī men arth sahita bol rahe hain to ismen kuch bhī galat nahīn hai. Smaraṇ rakhen, prārthanā men, Parmeśvar uske sāth ho rahe vārtālāap aur hamāre hiṛday men se lie nikale hue śabdo men jyādā rūchi rakhatā hai iskī apekṣā ki ham kin viśeṣ śabdo kā upayog karen. Philippiyon 4:6-7 ghoṣaṇā kartā hai ki, "Kisī bhī bāat kī chintā mata karo; parntu har ek bāat men tumhāre nivedan, prārthanā aur vinatī ke dvārā dhanyvād ke sāth Parmeśvar ke sammukh upasthit kie jāen. Tab Parmeśvar kī śānti, jo sārī samajh se pare hai, tumhāre hiṛday aur tumhāre vichāron ko Masīh Yīśu men surakṣit rakhegī."
English
Prabhu kī prārthanā kyā hai aur kyā hame ise karnā chāhie?