settings icon
share icon
Praśn

Vibhinn jātiyon kā udgam kyā hai?

Uttar


Bāibal spaṣṭ rūp se hame vibhinn "jātiyon" yā manuṣy kī chamḍī ke rang ke udgam ke bāre men jānkārī nahīn detī hai. Vāstaviktā men, yahān par keval ek hī jāti - mānav jāti hai. Mānav jāti ke bhītar chamḍī ke rango aur any bhautik viśeṣtāon men vividhatā hai. Kuch aṭakalen lagāte hain ki jab Parameśvar ne Bebīlon ke gumbad par bhāṣāon men gaḍbaḍī ḍāl dī thī (Utpatti 11:1-9), tab usne jātīy vividhatā kī sṛṣṭi kī. Yah saṃbhav hai ki Parameśvar ne bhinn vātāvaraṇ men rahane ke lie manuṣy ko uttam rīti se sakṣam banāne ke lie ānuvānśik parivartano ko kiyā, jaise ki aphrīkiyon kī gahare kāle rang kī chamḍī tāki ve aphrīkā kī tej garmī men ānuvanśiki rūp se jīvan yāapn karne ke lie uttam rīti se susjjita ho saken. Is dṛṣṭikoṇ ke anusār, Parameśvar ne bhāṣā men gaḍbaḍī ḍāl, manuṣy ko bhāṣāī rūp se alag thalag kar diyā, aur tab ānuvanśiki naslīy Antar ko nirmit is ādhār par kiyā ki pratyek chamḍī vālā samūh kahāan par ant men nivās karegā. Jabki yah saṃbhav hai ki is dṛṣṭikoṇ ke lie Bāibal kā koī spaṣṭ ādhār nahīn hai. Bebīlon ke gumbad ke sambandh men kahīn par bhī manuṣy ke lie uskī jāti/chamḍī ke rang kā ullekh nahīn kiyā gayā hai.

Bāḍh ke paśchāt, jab bhinn, bhāṣāen astitv men āī, to jis samūh ne ek jaisī bhāṣā ko bolā any ek jaise bhāṣā vāle samūh se dūr ho gae. Aisā karne men, ek viśiṣṭ samūh kā ānuvānśik guṇ nāṭakīy rūp se sikuḍ gayā jab vah samūh sampūrṇ mānavīya janasankhyā ke sāth aur adhik miśrit nahīn rahā. Nikaṭ sambandhon men ant prajanan ghaṭit huā, aur samay ke sāth niśchit guṇ in bhinn samūhon men prabal the (jo ki sāre ke sāre apanī pūrṇ saṃbhavnā men apane ānuvānśik sanket men astitv men the). Jab aur āge ant prajanan pīḍhaiyon ke dvārā ghaṭit huā, to ānuvānśik guṇ choṭe aur adhik choṭe hote hue, is sīmā tak chale gae ki ek hī bhāṣā bolane vāle samūh ke sabhī logon men ek jaise yā sadṛis guṇ milane lage.

Ek aur spaṣṭīkarṇ yah hai ki Adam aur Havvā ke pāas kāle, bhūre aur saphed santāno (aur inake miśraṇ ke madhy sabhī tarah kī) ko utpann karne vālī ānuvānśik ikāīyān thī. Yah bahut kuch usī ke sadṛis hai jaise ki kaise ek miśrit-jāti vāle joḍae ke dvārā kaī bār utpann santān unake rang men bahut adhik bhinn hotī hai. kyonki Parameśvar ne spaṣṭ rūp men manuṣy se yah cāhā thā ki vah apane dikhāve men bhinn dikhāī de, yah arth detā hai ki Parameśvar ne Adam aur Havvā ko aisī santān utpann karne kī yogyatā dī hogī jo apanī chamḍī ke rang men bhinn ho. Bād men, bāḍh men bachane vālā keval antim jīvit Nūh aur uskī patnī, Nūh ke tīn putr aur unakī patniyān – kul milākar āṭh prāṇī hī rah gae the (Utpatti 7:13). Kadāchit Nūh kī bahūen bhinn jātiyon se āī thī, jiskā arth yah hogā ki unake pāas bhinn jātiyon ko utpann karne vālī ānuvānśik ikāīyān thī. Chāhe kuch bhī spaṣṭīkarṇ kyon na ho, is praśn kā sabse mahatvapūrṇ pahalū yah hai ki ham sabhī ek hī jāti ke log hain, ham sabhī ek hī Parameśvar ke dvārā sṛje gae hain, ek hī uddeśy – uskī mahimā ke lie sṛje gae hain.

English



Hindī ya Roman-Nagari ke mukhya pṛṣṭha par vāpsa jāie

Vibhinn jātiyon kā udgam kyā hai?
Facebook icon Twitter icon Pinterest icon Email icon
© Copyright Got Questions Ministries