settings icon
share icon
Praśn

Yīśu ke nām men prārthanā karne ke lie kyā arth hai?

Uttar


Yīśu ke nām men prārthanā ko Yūhannā 14:13-14 men sikhāyā gayā hai, "Jo kuch tum mere nām se māngoge, vahī main karūngā ki putr ke dvārā pitā kī mahimā ho. Yadi tum mujh se mere nām se kuch māngoge, to men use karūngā." Kuch log is vachan kā galat upayog yah sochte hue karte hain ki prārthanā ke ant men jo kuch hamne Parmeśvar se, "Yīśu ke nām se" māngā hai uskā uttar vah sadaiv pradān karegā. Yah āvaśyak rūp se "Yīśu ke nām se" ke śabdo ko kisī ek jādūī sūtr ke rūp men vyavahār karnā hai. Yah pūrī tarah se Bāibal sammat nahīn hai.

Yīśu ke nām se prārthanā karne kā arth uske die hue adhikār se prārthanā karnā aur pitā Parmeśvar se yah kahnā hai ki vah hamārī prārthanāo ke ūpar kāry kare kyonki ham Yīśu, uske putr ke nām se uske pāas āe hain. Yīśu ke nām se prārthanā kā arth usī bāat ke samān hai jaise ki ham Parmeśvar kī icchā ke anusār prārthanā kar rahe hain. "Aur hame uske sāmane jo hiyāv hotā hai, vah yah hai ki; yadi ham uskī icchā ke anusār kuch māngte hain to vah hamārī sunatā hai. jab ham jānte hain ki jo kuch ham māngte hain vah hamārī sunatā hai, to yah bhī jānte hain ki jo kuch ham ne usse māngā, vah pāyā hai" (1 Yūhannā 5:14-15). Yīśu ke nām se prārthanā karnā un vastuon ke lie prārthanā karnā jo ki Yīśu ko mahimā aur sammān dengī.

Prārthanā ke ant men "Yīśu ke nām se" prārthanā karnā koī jāduī phārmūlā arthāt sūtr nahīn hai. Yadi hame aisī bāten māṃge yā aisā kahen jo ki Parmeśvar kī mahimā ke lie aur Parmeśvar kī icchā ke anusār nahīn hai, to "Yīśu ke nām se" māngnā arthhīn hogā. Yīśu ke nām men vāstav men aur uskī mahimā ke lie kahīn gaī prārthanā hī hai jo ki ati mahatvpūrṇ hai, na ki prārthanā ke ant men kuch niśchit śabd. Ye śabd nahīn hai jo ki prārthanā men arth rakhate hain, apitu prārthanā ke pīche kā uddeśy hai jo ki arth rakhatā hai. Vastuon ke lie prārthanā karnā jo ki Parmeśvar kī icchā ke sahamti men hain hī Yīśu ke nām se prārthanā karne kā sār hai.

English



Hindī ya Roman-Nagari ke mukhya pṛṣṭha par vāpsa jāie

Yīśu ke nām men prārthanā karne ke lie kyā arth hai?
Facebook icon Twitter icon Pinterest icon Email icon
© Copyright Got Questions Ministries